Documentry Ki Shuruwaat Mei Hame Bataya Jaata Hai Ki Tamil
Nadu Aur Karnataka Ki Border Par Mudumalai Sanctuary Hai Jaha Par Asia Ka Sabse
Purana Elephant Camp Thappakadu Maujood
Hai Jiski Sthaapana Lagbag 140 Saal Pehle Hui Hai Aur Yah Camp Hathiyo Ke Rehne
Ke Liye Sabse Bada Camp Hai. Yaha Chode,Anath Aur Bhatake Hue Hathiyo Ko Laaya
Jaata Hai Aur Unki Dekhbhal Ki Jaati Hai. Tamil Nadu Ke Is Kshetr(क्षेत्र)
Mei Kattunayakan Samudhaay Ke Log
Rehte Hai, Vese Hame Bataya Jaata Hai Ki Kattunayakan Ka Matlab ‘Jungle Ka
Raja’ Hota Hai. Is Samudhaay Ke Log Jyadatar Hathiyo Ki Dekhbhal Karte Hai Aur
Isi Se Unka Ghar Chalta Hai Tatha(तथा) Inhi Mei Se Ek Bomman Hai Jo Hathiyo Ki
Dekhbhal Karta Hai Aur Vah Ek Pujari Bhi Hai, Yaha Bomman Hame Batata Hai Ki
Uske Pita Aur Dada Dono Hathiyo Ki Dekhbhal Kiya Karte The Aur Ab Unke Baad Vah
Bhi Inki Dekhbhal Karta Hai. Kattunayakan Samaajh Ke Log Peedheiyo Se Hathiyo
Ki Dekhbhal Karte Aaye Hai. Is Samudhaay Ke Log Jungle Ko Hi Apna Ghar Maante
Hai Aur Apni Aam Taur Ki Jarurato Ke Liye Jungle Par Hi Nirbhar Rehte Hai, Ye Jungle
Se Utna Hi Lete Hai Jitni Inhe Jarurat Hai Aur Badle Mei Yah Jungle Ki Rakshay
Karte Hai. Ab Bomman Batata Hai Ki Kuch Samaya Pehle Use Forest Department Se
Phone Aaya Jo Use Raghu Naam Ke Ek Chote Hathi Ke Bacche Ki Dekhbhal Karne Ke
Liye Keh Rahe The, Darasal Raghu Ki Maa Ki Bijli Lagne Ki Vajah Se Maut Ho
Chuki Thi Aur Jab Raghu Forest Department Ko Mila Tab Uski Halat Bahut Kharab
Thi, Uski Pooch Ko Kutto Ne Kha Liya Tha Aur Uske Ghaav Mei Keede Lag Chuke The
Aur Uski Halat Bahut Nazuk Thi Isliye Raghu Ki Dekhbhal Ke Liye Bomman Ke Sath
Bellie Ko Bhi Rakha Gaya. Poore Tamil Nadu Mei Bellie Pehli Mahila Hai Jo
Hathiyo Ki Dekhbhal Ke Liye Niyukt Ke Gayi Hai. Bomman Aur Bellie Dono Ne Hi
Raghu Ki Bahut Achi Tarah Se Dekhbhal Ki Jis Vajah Se Raghu Bahut Hi Jald Thik
Ho Gaya. Ab Hum Bomman Ko Raghu Ke Gale Mei Ghanti Pehenate Hue Dekhte Hai Jaha
Vah Batata Hai Ki Yaha Par Sabhi Hathiyo Ke Gale Mei Ghanti Pehenayi Jaati Hai
Taaki Yaadi Koi Hathi Jungle Mei Ghum Ho Jaaye To Vah Log Use Aasani Se Dhundh Sake.
Documentary Mei Aage Bellie Hame Apne Baare Mei Batati Hai Ki Uske Pati Ko
Jungle Mei Baagh Ne Maar Diya Tha Jiske Baad Vo Baagh Se Darne Lagi Lekin Vah
Ek Kabile Ki Mahila Hai Aur Jungle Ko Apna Ghar Maanti Hai, Vah Chahkar Bhi Is
Jungle Aur Yaha Ke Jaanwaro Se Dur Nahi Reh Sakti. Bellie Aage Batati Hai Ki
Raghu Ki Dekhbhal Karna Kisi Bache Ki Dekhbhal Karne Jesa Hi Hai, Use Meri
Saari Baate Samjh Mei Aati Hai, Bellie Batati Hai Ki Kuch Samay Pehle Uski Beti
Ki Mrityu Ho Gayi Jis Vajah Se Vah Bahut Dukhi Thi Aur Jab Raghu Ne Use Rote
Dekha To Usne Apni Soondh Se Uske Aasu Pahunche. Raghu Ki Yah Choti Si Baat
Hame Batati Hai Ki Hathi Bhi Insaano Ki Bhaavnaaye Kitne Aache Se Samjh Sakte
Hai. Vese Raghu Ka Ek Dost Bhi Hai Krishna Jo Usse Kuch Bada Hai, Raghu Krishna
Ko Dekhkar Kaafi Cheezen Seekhta Hai Jese Abhi Krishna Raghu Ko Ghaansh Todna
Sikha Raha Hai. Ab Ham Bomman Ko Raghu Ko Rang Birangi Chouk Se Sajaate Hue
Dekhte Hai Jaha Vo Batata Hai Ki Aaj Ek Vishesh Puja Ka Din Hai Jismei Hathiyo
Ko Ganesh Ji Ka Aashirwaad Dilaaya Jaata Hai. Bomman Kehta Hai Ki Hamare Liye
Hathiyo Ki Dekhbhal Karna Bhagwan Ki Dekhbhal Karne Jaisa Hai, Hathiyo Ko Khana
Khilana, Unhe Nehlana Ye Sab Karna Unhe Aacha Lagta Hai Aur Hathiyo Ki Dekhbhal
Karte Karte Usne Hathiyo Ke Baare Mei Bahut Kuch Seekh Liya Hai Jaise Hathi Aam
Tour Par Shaant Rehte Hai Lekin Vo Kabhi Kabhi Khatarnak Bhi Ho Sakte Hai. Ab
Garmiyo Ka Mausam Aa Chukka Tha, Jungle Ke Saare Ped Paudhe Aur Nadhiya Dhire
Dhire Sukhne Lagi Thi Is Samay Hathiyo Ka Samuh Khana Tatha(तथा) Paani Ki Taalash Mei Jungle Mei Ghumta Hai Jismei Chote Hathi Ke Bache
Jyadatar Gum Ya Peeche Chooth Jaate Hai Isi Samay Bomman Ko Phir Forest
Department Wale Ek Choti Hathi Ki Bachi AMMU Jo Ki Apne Samuh Se Alag Ho Gayi
Hai, Uski Dekhbhal Karne Ki Jimmedaari Dete Hai Aur Kuch Hi Hafto Mei Ammu
Raghu Bomman Aur Bellie Ke Pariwaar Ka Hissa Ban Jaati Hai. Bomman Aur Bellie
Kaafi Samay Se Ek Sath Kaam Kar Rahe Hai Jis Vajah Se Unka Rishta Aur Gehra Ho
Gaya Hai Isiliye Ab Vah Dono Shaadi Karne Ka Faisla Karte Hai. Yaha Hame Pata
Chalta Hai Ki Bellie Ki Ek Poti Bhi Hai Jiska Naam Sanjana Hai, Sanjana Ko
Hathiyo Se Bahut Pyaar Hai Aur Vo Raghu Aur Ammu Ki Dekhbhal Mei Bellie Ki
Madad Karti Hai. Ab Raat Ke Samay Bellie Sanjana Ko Ek Kahani Sunati Hai Ki Ek
Jungle Mei Teen Andhe Gaye Aur Jab Unke Saamne Hathi Aaya To Unme Se Ek Ne
Hathi Ki Soondh Ko Chhua Aur To Usne Use Nagin Samjh Liya, Dusre Ne Hathi Ke
Kaan Ko Chhua Aur Kaha Ki Ye Challi (छल्ली) Jesa Hai, Teesre Ne Poonch Ko Chhua Aur Kaha
Ye To Jhadu Jesa Hai. Usi Tarah Kuch Log Samjhte Hai Ki Hathi Gusse Wale Hote
Hai Aur Unki Fhaslo Ko Kharab Karte Hai Par Jo Log Unke Pass Rehte Hai Vo
Jaante Hai Ki Haathi Shant Swabhav Ke Hote Hai Aur Yadi Tum Hathi Ko Pyaar
Karte Ho To Vo Bhi Tumhe Pyaar Karte Hai. Bamman Aur Bellie Ki Shaadi Ke Kuch
Din Baad Hi Unhe Pata Chalta Hai Ki Forest Department Wale Raghu Ki Dekhbhal Ki
Jimmedaari Kisi Aur Ko De Rahe Hai, Bomman Aur Bellie Ne Unse Kaha Ki Vo Raghu
Ko Unse Dur Na Kare Kyunki Vo Unke Pariwaar Ka Hissa Hai Lekin Unhone Iske Liye
Mana Kar Diya Kyunki Raghu Ab Kaafi Bada Ho Chukka Hai Aur Uski Dekhbhal Ki
Jimmedar Kisi Aur Ko Dena Jaruri Hai. Rahgu Ke Jaane Ke Baad Ammu, Booman Aur
Bellie Kaafi Dukhi Hue, Ammu Ne To Kaafi Dino Tak Doodh Bhi Nahi Piya Lekin Samay
Ke Sath Ammu Ne Bhi Raghu Ke Bina Rehna Seekh Liya. Vahi Aaj Bhi Bomman Ko
Raghu Kabhi Kabhi Jungle Mei Mil Jaata Hai Jisse Vo Kaafi Khush Hota Hai. Tamil
Nadu Mei Bomman Aur Bellie Aese Pehle Log Hai Jinhone Safalta Purvak Do Hathi
Ke Baccho Ki Dekhbhal Ki Hai Isi Liye Bomman Ko Hathiyo Ka Pita Aur Bellie Ko
Hathiyo Ki Maa Bhi Kaha Jaata Hai. Aaj Ke Samay Mei Ammu 3 Saal Aur Raghu 7
Saal Ka Hai Aur Dono Hi Theppakadu Elephant Camp Mei Reh Rahe Hai. Is
Documentary Mei Bataya Hai Ki Agar Insaan Apne Swarth Ko Chodkar Jaanwaro Aur
Junglo Ko Pyaar De To Jaanwaar Aur Jungle Bhi Hame Utna Hi Pyaar Denge.